Wednesday, 7 September 2011

Kahani ik piyar ki


Kahani 1 piyar ki

Numan sukkur ka 1 shehri tha. Us ki umar sirf 14 years thi jab wo piyar ki pakeeza adat mai mubtila ho gaya hai. shuru mai Numan ko laga k jis se wo piyar karta hai us k bina zindagi kuch b nahi hai lekin aj kal k piyar mai har insan ko aisa he lagta hai shuru mail lekin bad mai har 1 badal jata hai. Us k is badalnay se auro pe kiya farq parta hai yeh kon janay. Aisa he yaha b howa…. Numan k sath us ka dost b tha jis ka name mai tha Hassan.
Un ki guftogu shuru hoti hai….. jab wo larki ko pehli bar dekhta hai.
Numan:  aj yar koi achi larkiya he nahi hai market mai. Haan yaar awein he aj poora din bore guzra lekin market mai b koi nahi hai.
Hassan: koi baat nahi hai yaar kiyun larkiyo k bina din kharab guzarta hai kiya. Yeh kiya bat howi.
Numan:  Aray chor na khoobsorti ko dekh kar har insan k munh mai pani aa jata hai.
Hassan: Chal dekh saminay Clothes ki shop pe husn b aa gaya hai.
Numan:   MASHALLAH “Kash aisi larki meri GF hoti”
            Is k bad wo musalsal market mai ussi larki ko dekhtay rahay. Well usay kiya pata tha k wo kiya karnay jar aha hai.
Hassan: Yar yeh larki to Bhut piyari hai mujhay b bhut pasand aye hai.
Numan:  Numan jhat se “Ary oye yeh pehli aisi larki mili jo achi lag rahi hai yeh teri bhabi hai ankh utha k mat dekhna isay dobara”
Hassan: aray meray bhai ap to ghusa ho gaye mai to mazaq kar raha tha.
Numan:  Chal in ka peecha kartay hai.
                Is k bad wo us larki  k ghar tak gaye us ka peecha kartay kartay. Kuch time wait kiya un k ghar k bahir. Larki un se bekhabar thi. Lekin un ko lag raha tha k wo wapis niklay gi. In ko dekhnay k liya magar aisa howa na. larki ka name Sahiba tha. Wo piyari c larki 7th class ki student thi. Us ko abhi piyar etc k chakar k baray mai kuch pata nahi tha. Dusray din Numan ne school jatay howay incidentally us larki ko again school jatay howay dekh liya bechari larki ki badkismati thi. Us larki ki 1 aur bad kismati yeh thi k wo piyar pe bhut believe karti thi aj kal ki tamam larkiy he karti hai q k aj kal k dramas aur movies he aisi hai. Larka kuch din Sahiba ka peecha karta raha Sahiba be b us ko dekh liya tha. Q k larka piyara b tha is liya larki ko bura nahi lagta tha. 1 week k musalsal Numan ka Sahiba ka peecha karnay k bad akhir us ne himmat kar k us larki Sahiba ko apna Number dia. Sahiba ne le to liya but us ki himmat nahi thi us ko call karnay ki. Dusray din phir wo us ko follow karta hai aur phir number deta hai. Aj himmat kar k Sahiba us ko text karti hai.
Sahiba:
“HELLO ITS SAHIBA MAI AP SE CALL PE BAT NAHI KAR SAKTI ONLY TEXT CHAT”
Numan:   Shukar hai ap ne message to kiya ap ka sath he chahiya jesay b ho bus hum chahtay hai k ap hum se bat karo, aur kuch nahi chahtay hum.
                        Sahiba ki 1 dost hoti hai jo k ussi ki choti behan hai jis ka name hai. Maryam
Sahiba to Maryam
Sahiba: yar yeh to bhut piyar karta hai mujh se (Khushi se)
Maryam: lagta to nahi hai yeh larkay aisay he hotay hai bhut jaldi apni baton mai phasa letay hai.
Sahiba: Ap ko kiya pata piyar aur larko k baray mai (Ghussay mai )
                        Is k bad dono ki chat hoti hai mobile pe kahani agay barh rahi hoti hai. Dono ki bat I Love u se kafi agay tak chali jati hai. Dono milnay ka program banatay hai. School se chutti kar k dono park mai milnay k liya jaty hai
Sahiba:  sharmatay howay how are u ?
Numan:  I m fine ap kesi hai ?
Sahiba:  mai b theak hun  (Phir dono kuch time chup kar k beth jatay hai kisi ki himmat nahi hoti bat karnay ki)
Numan:  ap cold drink to peeti ho gi ?
Sahiba: ji haan peeti hun..
Numan:   (Order deta hai cold drinks ka )
                                                Kuch general batain hoti hai yaha waha ki friends k baray mai bat cheet phir dono chal detay hai. Is k bad dono ka confidence b barh jata hai aur kuch dino k bad again un ka milnay ka program banta hai is dafa dono kafi frank hotay hai. Is k bad jesa k aj kal ki generation bhut fast hai har sms aur call k bad kiss kartay hai. Issi bat ko wo practically b kartay hai mulaqat k doran. Sahiba ab pooray tareeqay se Numan k piyar mai pagal ho chuki thi. Waha numan bhut khushi se apnay dosto ko  qissay sonata tha k mai nai is elaqay ki sub se khoobsurat larki ko pattaya hai. Numan b piyar karta tha but limited us ko shokhiya marni thi aur dosto ko efficiency dikhani thi Numan umar mai barha tha Sahiba se. us k elawa Numan facebook aur yahoo etc b use karta tha. Sahiba sath mai academy jaya karti thi. Is liya thori c doori aa gaye thi dono mai. Sahiba ka dil saaf tha lekin waha Numan ka chat kar kar k dost ko efficiency dikhanay k liya net pe larkiya phasana theak nahi tha Sahiba k liya. Numan, Sahiba ko kam time denay laga tha. Tak jhank shoro ho chuki thi in ki is nanhi kahani ko abhi 1 he saal guzra tha. Lekin bat bhut agay nikal chuki thi. Sahiba apna sub kuch Numan pe lutanay ko tayyar ho gaye thi. Issi doran dono ki time na denay ki waja se larraye ho gaye. Ab in ko kiya pata tha is laraye se kiya ho jaye ga. Is larraye ki waja se dono Upset se ho gaye Numan ghairat mai tha. Is liya us ne khud ko busy karnay k liya Internet ka sahara liya. Aur yahi us ki ghalti nikli waha pe  Numan ki Girl friend ban gaye thi internet pe jis ka name tha Salma. Jo k Los Angeles mai rehti thi. Numan ko jab time milta tha aur jab wo farigh hota tha tab Sahiba ko msg karta tha idhar Sahiba us k piyar mai pagal ho k har waqt us ko message aur call karti thi lekin koi response aur koi reply nahi ata tha. Sahiba chori chori roya karti thi us ki yaad mai lekin Numan ko kiya farq parta in baton se waisay us ko batata kon in baton k baray mai. Khair time guzarta gaya Numan, Salma k sath ziada attach ho gaya tha. Aur yaha Sahiba se bilkul he bat nahi karta tha. Sahiba bhut roti, khana nahi khati lekin us ki in harkato se only us ko saza milti Numan ko to in baton ka pata he nahi tha. Khair akhir kar in dono ko bat hoti hai. Sahiba call karti hai Numan ko
Sahiba: Salam jani Kiya haal hai kesay ho
Numan:  mai theak hu tumhai mana kiya tha k mujhay disturb mat karna tumhai samajh nahi ati 1 bat ki tum mai to insaniyat he nahi hai. Kutti kamini, wehshiya, etc (is tarah ki bhut c galiya deta hai)
Sahiba: (Rotay howay) par jani mai nai ap ko kiya kaha kis bat ka itna gussa hai ap ko?
Numan:  (Ghussay mai ) tum jesi characterless larkiyo se mai bat nahi karta ainda bat mat karna
                        Yeh keh kar Numan call band kar deta hai. Idhar Sahiba ro ro k pagal ho rahi hoti hai. Akhir tang aa kar sahiba apnay liya chuhay mar goliya mangwati hai. Khudkushi karnay k liya. Us se pehlay apni bakhshish aur gunaho ki mafi ki duaa mangti hai poora din. Aur ehad karti hai k wo khud kushi kar lai gi agar ussay Numan ne call na ki to lekin us ki khush kismati ussi din Numan ki Salma se larraye hoti hai aur wo tanha ho jata hai aur khafa b hota hai. Phir is ko Sahiba k sath ki howi ziadti yad ati hai. Aur us ka piyar to sharminda ho kar wo call karta hai Sahiba ko, ain ussi waqt Sahiba tablet uthati hai khanay k liya lekin pehlay phone dekhti hai. To numan ki call hoti hai wo bat karti hai.
Numan: sorry jan mai bhatak gaya tha mujh se ghalti ho gaye. Pata nahi us waqt mai ghussay mai tha aur mujhay kiya ho gaya aur mai nai ap ko kafi kuch bol diya. Isliya apni ghalti k liya maafi mangna chahta hun aur kehna chahta hun k mai abhi b tum se piyar karta hun.
Sahiba: (Rotay howay) its ok jani insane se aksar ghalti ho jati hai mai ap ko samajh sakti hun.
                                Is k bad 3 din tak un ka piyar parwan charhta hai phir se phone pe piyar ki kahani shoro ho jati hai. Sahiba bhut khush hoti hai k us ko us ka prana Numan mil gaya lekin us ko kiya pata k yeh kuch time k liya hai. 3 din bad Numan ki again Salma se bat hoti hai. Salma ko ehsas hota hai k Numan ussay chor dai ga. Isliya wo maafi mang leti hai. Aur piyar k kuch bhol jharti hai. Numan again phissal jata hai. Aur wo phir se Sahiba ko chor k Salma k sath shuru ho jata hai. Lekin wo yeh bhool jata hai k Sahiba wo hai jis ne har pal us ka sath diya. Again Sahiba ki wahi halat ho jati hai. Wahi rona dhona wahi khana chorna. Is bar us k ghar walo se us ki halat bardasht nahi hoti aur wo us ki shadi teh kar detay hai. Sahiba ki kismet shadi b us se baray aur badsoorat larkay k sath. Lekin wo chup kar k apnay ghar walo k dabao mai shadi k liya haan kar deti hai. Lekin khush kabhi nahi hoti. Idhar Numan ko us ki shadi ka koi afsos nahi hota. Lekin jab us ko Salma ki asliyat ka pata chalta hai k us k already 2 Boyfreind aur b hai to wo us ko  kehta hai k in ko choro ya mujhay to Salman is ko chor deti hai. Ab Numan akela ho jata hai aur cigerett ka sahara leta hai. Aur tanhai aur gham mai dooba rehta hai. Aur ab wo us Sahiba ko bhut miss karta hai. Lekin wo jaa chuki hoti hai.
Natija yeh nikalta hai k na wo khush hoti hai na Numan. Bus dono is ishq aur piyar ki bheant char jatay hai. Bus ghalti un se yeh hoti hai k wo dusray insane ko beech mai ghusnay detay hai. Is waja se yeh sub kuch hota hai. Agar In ki larraye na hoti to na Salma hoti aur na yeh sub kuch hota. But afsos……


 Duaa Go: Taifoor zareen(03145250712)
www.facebook.com/taifoorzareen

No comments:

Post a Comment